mujh ko manzūr hai marne pe subuk-bārī ho
aur ahbāb ko hai fikr kafan bhārī ho
zindagī meñ na milā zaḳhm-e-jigar ko marham
ḳhair chādar hī mirī qabr kī zañgārī ho
yaad hai roz-e-azal dil jo garāñ hai kyā ġham
maiñ ne ḳhud kah ke liyā thā ki zarā bhārī ho
ātish-e-husn javānān-e-chaman bhaḌkā de
jo gul-e-surḳh kī pattī ho vo chiñgārī ho
terī rahmat ke sahāre pe ginā kartā huuñ
tark kar duuñ agar is meñ bhī gunāh-gārī ho
mujh siyahkār kī hai mohr to uThtī nahīñ mehr
mere allāh na itnī bhī girāñ-bārī ho
āj-kal paas hai phir naqd-e-dil-e-zār 'rashīd'
phir kisī ġhairat-e-yūsuf kī ḳharīdārī ho