Rasheed lakhnavi

Khaar-o-KHas phenke chaman ke raste jari kare

Rasheed lakhnavi

Lucknow, Uttar pradesh, India

1846-1917
ḳhār-o-ḳhas pheñke chaman ke rāste jaarī kare
bāġhbāñ fasl-e-bahār aane kī tayyārī kare
dil jigar kī yā jigar dil kī azā-dārī kare
ek hī aalam hai kis kī kaun ġham-ḳhvārī kare
mere dard-e-ishq se iizā hai saarī ḳhalq ko
maut behtar hai jab itnā tuul bīmārī kare
naza.a ho lekin na sar ke kūcha-e-mahbūb se
laakh ho behosh par itnī tū hushyārī kare
shāre-e-ulfat ne likkhā hai kitāb-e-ishq meñ
vasl ho yā hijr saarī raat bedārī kare
ai junūñ be-sāḳhta hai āfiyat madd-e-nazar
aisā aalam ho ki aalam is se be-zārī kare
tere jis pahlū meñ baiThe dil jigar haiñ shaad shaad
uTh ga.e kah kar koī kis kī taraf-dārī kare
ishq galiyoñ meñ phire lekin na ho parda-darī
husn parde meñ rahe aur garm bāzārī kare
Top Urdushayar.com