Iqra Afiya

jaana chaho to kis ne roka hai

Iqra Afiya

1994
jaanā chāho to kis ne rokā hai
bin mire jī sakoge achchhā hai
jab se us ne kahā ḳhudā-hāfiz
tab se sab kuchh dhuāñ dhuāñ sā hai
aap se dhaḌkanoñ kī raunaq hai
dil mujhe aap jaisā lagtā hai
tum nahīñ aa.e milne sāvan meñ
bārishoñ kā mizāj phīkā hai
ye to bas dil hī jāntā hai mirā
maiñ ne kis dil se tujh ko chhoḌā hai
kal huā thā guzar yahāñ us kā
shahr kā paanī kal se mīThā hai
mujh ko duniyā samajh meñ kyā aatī
ek hī shaḳhs ko jo sochā hai
ḳhud se bantī nahīñ kabhī 'iqrā'
jaane kis baat kā ye jhagḌā hai
Top Urdushayar.com