Ashk Rampuri

sard-mehri se teri dil jo tapan rakhte hain

Ashk Rampuri

Rampur, Uttar pradesh, India

1897-1958
sard-mehrī se tirī dil jo tapāñ rakhte haiñ
hama-tan barf haiñ aahoñ meñ dhuāñ rakhte haiñ
sail-e-ġham aañkh ke parde meñ nihāñ rakhte haiñ
nā-tavāñ bhī tire kyā tāb-o-tavāñ rakhte haiñ
farsh-e-rah kis ke liye ham dil-o-jāñ rakhte haiñ
ḳhūb-rū paañv zamīñ par hī kahāñ rakhte haiñ
baat meñ baat usī kī hai suno tum jis kī
yuuñ to kahne ko sabhī muñh meñ zabāñ rakhte haiñ
jab se dushvār huā saañs kā aanā jaanā
ham nigāhoñ meñ jahān-e-guzarāñ rakhte haiñ
kis se be-dardī-e-ahbāb kā shikva kiije
naam be-tābī-e-dil kā ḳhafaqāñ rakhte haiñ
aañkh kholī hai to sayyād ke ghar kholī hai
ham qafas par hī nasheman kā gumāñ rakhte haiñ
phuul bhī muñh se jhaḌeñ baat bhī kāñTe kī rahe
ye adā aur suḳhan-sāz kahāñ rakhte haiñ
log rote bhī haiñ turbat meñ luTā kar ai 'ashk'
aur siine pe bhī ik sañg-e-girāñ rakhte haiñ
Top Urdushayar.com