Maharaj Sir Kishan Parashad Shad

ab dimagh-o-dil mein wo quwwat nahin wo dil nahin

Maharaj Sir Kishan Parashad Shad

ab dimāġh-o-dil meñ vo quvvat nahīñ vo dil nahīñ
'shād' ab ash.ār mere dar-ḳhur-e-mahfil nahīñ
tū mire ashk-e-nadāmat kī haqīqat kuchh na pūchh
us kā har qatra vo dariyā hai jahāñ sāhil nahīñ
ghar ḳhudā kā thā magar but is meñ aa kar bas ga.e
ab muraqqa.a hai hasīnoñ kā hamārā dil nahīñ
nukta-chīñ ho merī rindāna ravish par kyuuñ koī
maiñ koī zāhid nahīñ vaa.iz nahīñ aaqil nahīñ
parda-dārī kartī hai dar-parda lailā ishq kī
jazba-e-dil qais kā hai parda-e-mahmil nahīñ
inqalāb-e-dahr se ulTā zamāne kā varaq
ahl-e-mahfil vo nahīñ vo raunaq-e-mahfil nahīñ
hind meñ chalne lagī hai ab havā-e-inqalāb
'shād' sach hai ye jagah rahne ke ab qābil nahīñ
sāġhar-e-mai pesh kar ke shaiḳh kahlātā huuñ maiñ
hadiya-e-ahqar hai ye go aap ke qābil nahīñ
haq meñ ab āshiq ke dekheñ faisla hotā hai kyā
ishq kā da.avā huzūr-e-husn to bātil nahīñ
Top Urdushayar.com