fanā kahte haiñ kis ko maut se pahle hī mar jaanā
baqā hai naam kis kā apnī hastī se guzar jaanā
jo rokā raah meñ hur ne to shah abbās se bole
mire bhaa.ī na ġhusse meñ kahīñ had se guzar jaanā
kahā ahl-e-haram ne roke yuuñ akbar ke lāshe par
javāñ hone kā shāyad tum ne rakkhā naam mar jaanā
baqā meñ thā fanā kā martaba hāsil shahīdoñ ko
vahāñ is par amal thā maut se pahle hī mar jaanā
na lete kaam gar sibt-e-nabī sabr-o-tahammul se
la.īnoñ kā nigāh-e-ḳhashm se āsāñ thā mar jaanā
dikhā.ī jañg meñ sūrat udhar jā pahuñche vo kausar
ye asġhar hī kī thī raftār idhar aanā udhar jaanā
yahāñ kā zinda rahnā maut se bad-tar samajhtā huuñ
hayāt-e-jāvidāñ hai karbalā meñ jā ke mar jaanā