husn-e-zan kaam liije bad-gumānī phir sahī
be-takalluf aur kiije mehrbānī phir sahī
aaj jo biitī hai dil par mājrā us kā suno
dāstān-e-ishrat-e-ahd-e-javānī phir sahī
zarf se kam vaqt se pahle nahīñ miltī yahāñ
aaj zahr-e-ġham hī pī lo arġhavānī phir sahī
teġh kis ke haath meñ thī kaun thā sīna-sipar
ye kahānī aaj sun lo vo kahānī phir sahī
sham-e-fānūs-e-talab har rañg meñ raushan rahe
ḳhūñ-fishānī ke maze lo gul-fishānī phir sahī
zehn ko mānūs kar detā hai lafzoñ kā tilism
mudda.ā kah dījiye jādū-bayānī phir sahī
kis meñ himmat hai 'farīdī' kaun ye un se kahe
muskurā kar haal sun lo lan-tarānī phir sahī