Moghisuddin Fareedi

humne tanha-nashini KHaridi to hai raunaq o shorish-e-anjuman bech kar

Moghisuddin Fareedi

Fatehpur, Uttar pradesh, India

1926
ham ne tanhā-nashīnī ḳharīdī to hai raunaq o shorish-e-anjuman bech kar
sham.a mehrāb-e-dil meñ jalā.ī to hai ārzūoñ kā apnī kafan bech kar
mutma.in haiñ bahut aaj arbāb-e-fan apnā sarmāya-e-fikr-o-fan bech kar
jaise ā.īna rakh de koī māh-vash halqa-e-zulf kā bāñkpan bech kar
kho gayā dard hangāma-e-shahr meñ luT rahī hai dukān-e-matā-e-nazar
ab bhī taufīq agar hai to ahl-e-junūñ baḌh ke le lo use jaan o tan bech kar
rut badaltī rahī rañg uḌte rahe kam-nazar bāġhbāñ kam-nazar hī rahe
ik ḳhayābāñ ko sairāb karte rahe ābrū-e-bahār-e-chaman bech kar
hai 'farīdī' ajab rañg-e-bazm-e-jahāñ miT rahā hai yahāñ farq-e-sūd-o-ziyāñ
nuur kī bhiik tāroñ se lene lagā āftāb apnī ik ik kiran bech kar
Top Urdushayar.com