havā se baada nichoḌeñ kalī ko jaam kareñ
sukūt-e-rañg-e-chaman se zarā kalām kareñ
hameñ to koī bhī pahchāntā nahīñ hai yahāñ
nigāh kis se milā.eñ kise salām kareñ
zamāna is pe tulā hai ḳhirad kī baat rahe
hameñ ye zid hai ki ūñchā junūñ kā naam kareñ
fazā hai gosh-bar-āvāz chup haiñ ahl-e-navā
ab is adhūrī kahānī ko ham tamām kareñ
tumhāre jaam ko pahle nazar se chhalkā deñ
phir apne hosh meñ aa kar tavāf-e-jām kareñ
kisī ġhazāl meñ bhī ab nahīñ ram-e-vahshat
ham apne sehr-e-tamannā se kis ko raam kareñ
ḳhulūs-e-dil kā sila soz aarzū kā guhar
isī guhar 'farīdī' charāġh-e-shām kareñ