be-shauq-e-talab be-zauq-e-nazar be-rañg thī un kī gul-badanī
ye kohkan-o-majnūñ kī nazar shīrīñ bhī banī lailā bhī banī
dekhe hue un ko der huī har naqsh abhī tak taaza hai
be-gāna-vashī mastāna-ravī jādū-nazarī shīrīñ-suḳhanī
ham apne hī ghar meñ rahte the jab terī nazar meñ rahte the
ab roz satātī hai ham ko ai dost vatan meñ be-vatanī
phūloñ meñ jhalakte haiñ chehre shāḳhoñ pe gumāñ āġhosh kā hai
kuchh aisī basī hai nazroñ meñ gul-pairahanī nāzuk-badanī
nazroñ meñ na be-mehrī kī adā bātoñ meñ na vo ḳhushbu-e-vafā
kitne hī diloñ ko toḌ ga.ī zālim kī jabīñ kī be-shikanī
us bazm-e-tarab meñ hañsne par majbūr hameñ qismat ne kiyā
phūloñ se jahāñ sho.ale lapkeñ sāġhar meñ ghule hiire kī kanī
sho.aloñ meñ nikharte haiñ jauhar qismat pe 'farīdī' tanz na kar
ġham aisī hī ne.amat hai jis ko paate haiñ yahāñ qismat ke dhanī