miltī hai nazar un se to kho jaate haiñ ham aur
manzil ke qarīb aa ke bahakte haiñ qadam aur
maare hue haiñ kashmakash-e-vahm-o-yaqīñ ke
TuuTe hue har but se tarāshe haiñ sanam aur
ye baat samajhte hī nahīñ hazrat-e-nāseh
siltā hai agar chaak to khultā hai bharam aur
tadbīr kā har naqsh dil-āvez hai lekin
hai kātib-e-taqdīr kā andāz-e-raqam aur
jazbāt pe mohreñ na lagī haiñ na lageñgī
hotī hai zabāñ band to chaltā hai qalam aur
shāyad ye sila tark-e-talab kā hai 'farīdī'
baḌhtī hī ga.ī vus.at-e-dāmān-karam aur