Moghisuddin Fareedi

dil-e-be-qarar chala to tha gila-e-hayat liye hue

Moghisuddin Fareedi

Fatehpur, Uttar pradesh, India

1926
dil-e-be-qarār chalā to thā gila-e-hayāt liye hue
ġham-e-ishq ruuh pe chhā gayā ġham-e-kā.enāt liye hue
kabhī be-irāda chhalak ga.ī thī kisī ke zikr pe chashm-e-nam
vo haiñ mujh se aaj bhī bad-gumāñ vahī ek baat liye hue
mire dil ke saath hī chhīn le mirī ḳhud-shanās nigāh bhī
maiñ tire qarīb na ā.ūñgā ye tavahhumāt liye hue
kabhī tujh pe apnā gumān hai kabhī ḳhud pe terā gumān hai
mire kirdgār kahāñ rahūñ ye tasavvurāt liye hue
shab-e-intizār ke ba.ad phir na huī tulū koī sahar
mirī umr saarī guzar ga.ī yahī ek raat liye hue
tujhe nāz-e-zabt bajā sahī magar ai 'farīdī'-e-sāda-dil
koī chashm-e-sho.ala-mizāj hai tire dil kī baat liye hue
Top Urdushayar.com