shu.ūr-e-zāt thoḌā sā dil-e-nādāñ meñ rakhte haiñ
jamāl-e-āgahī jahl-e-ḳhirad-afshāñ meñ rakhte haiñ
chaman kaisā bayābāñ kyā simaT aa.egī ye duniyā
junūñ ke dam se itnī vus.ateñ dāmāñ meñ rakhte haiñ
nazar ke sāmne rahtā hai aks-e-gardish-e-daurāñ
ham ā.īna ko dil ke rauzan-e-zindāñ meñ rakhte haiñ
hujūm-e-ġham meñ yādoñ ke nihāñ-ḳhāne mahak uTThe
shagūfe lāla-zāroñ ke dil-e-vīrāñ meñ rakhte haiñ
hamāre soz-e-dil se nuur barsātī haiñ vo āñkheñ
ham apnī sham.a tāq-e-abru-e-jānāñ meñ rakhte haiñ
hamārī har nazar un kī nazar meñ Duub jaatī hai
ham apnā tiir un ke tiir ke paikāñ meñ rakhte haiñ
koī dastak koī aahaT koī jhoñkā koī ḳhushbū
'farīdī' dil ko bas zinda isī armāñ meñ rakhte haiñ