hastī ke har ik moḌ pe ā.īna banā huuñ
miT miT ke ubhartā huā naqsh-e-kaf-e-pā huuñ
vo dast-e-talab huuñ jo duā ko nahīñ uThtā
jo lab pe kisī ke nahīñ aa.ī vo duā huuñ
is daur meñ insān kā chehra nahīñ miltā
kab se maiñ naqāboñ kī taheñ khol rahā huuñ
bastī meñ basere kā irāda to nahīñ thā
dīvāna huuñ sahrā kā patā bhuul gayā huuñ
jaatī hī nahīñ dil se tirī yaad kī ḳhushbū
maiñ daur-e-ḳhizāñ meñ bhī mahaktā hī rahā huuñ