Moghisuddin Fareedi

tu apne pindar ki KHabar le ki ruKH hawa ka badal raha hai

Moghisuddin Fareedi

Fatehpur, Uttar pradesh, India

1926
tū apne pindār kī ḳhabar le ki ruḳh havā kā badal rahā hai
tirī nazar se bahakne vaalā fareb khā kar sambhal rahā hai
yahī hai dastūr-e-shahr-e-hastī ki jo nayā hai vahī purānā
hayāt añgḌā.ī le rahī hai zamāna karvaT badal rahā hai
rah-e-talab meñ junūñ ne akasr shu.ūr ko ā.īna dikhāyā
jise thā uzr-e-shikasta-pā.ī vo ab sitāroñ pe chal rahā hai
hameñ ye ta.ane na do ki ham ne zamāna-sāzī ke gur na sīkhe
ki rafta rafta mizāj-e-duniyā hamāre sāñche meñ Dhal rahā hai
tirī adāoñ kī sādgī meñ kisī ko mahsūs bhī na hogā
abhī qayāmat kā ik karishma hayā ke dāman meñ pal rahā hai
kisī meñ himmat na thī ki baḌh kar junūñ kī zanjīr thaam letā
ḳhirad kī bastī meñ hai añdherā charāġh sahrā meñ jal rahā hai
hazār sheve the guftugū ke hazār andāz the suḳhan ke
magar ba-īmā-e-dil 'farīdī' fidā-e-rañg-e-ġhazal rahā hai
Top Urdushayar.com