Moghisuddin Fareedi

barson jo nazar tufanon ke aaghosh mein palti rahti hai

Moghisuddin Fareedi

Fatehpur, Uttar pradesh, India

1926

barsoñ jo nazar tūfānoñ ke āġhosh meñ paltī rahtī hai

us mast nazar har jumbish afsāne ugaltī rahtī hai

jo tark-e-talab se pahle thā dil vahī aalam aaj bhī hai

ā.īna nahīñ badlā jaatā tasvīr badaltī rahtī hai

bhar ke use dekhā lekin ab tak ye nazar bhartī nahīñ

ma.asūm adā meñ rah rah kar ik baat nikaltī rahtī hai

mere junūñ se nālāñ hai is par to nazar kar ai nāseh

vo zulf ḳhud apne halqoñ ke andāz badaltī rahtī hai

mai-ḳhāna 'farīdī' kyā jaane kis ko na milī kis ne

sāġhar haiñ ki chalte rahte haiñ sahbā hai ki Dhaltī rahtī hai

Top Urdushayar.com