Moghisuddin Fareedi

aansu bhi baha kar dekh liye soz-e-gham-e-pinhan kam na hua

Moghisuddin Fareedi

Fatehpur, Uttar pradesh, India

1926
aañsū bhī bahā kar dekh liye soz-e-ġham-e-pinhāñ kam na huā
dil meñ tirī ulfat kā sho.ala sho.ala hī rahā shabnam na huā
duniyā kī bahāroñ meñ kho kar maiñ apnī nazar se chhup jaatā
sad-shukr dil-e-āgāh mirā dil ban gayā jām-e-jam na huā
thā dāġh-e-tamannā rūh-shikan kuchh himmat-e-ġham kaam aa hī ga.ī
dil meñ to baḌe tūfān uThe aañsū na bahe mātam na huā
ham shukr-e-sitam yuuñ karte haiñ jaise koī ne.amat mil jaa.e
lekin ye tirā andāz-e-nazar nashtar hī rahā marham na huā
bikhre hue tinke chun chun kar ta.amīr nasheman kar to liyā
ta.amīr-e-nasheman se lekin ehsās-e-tabāhī kam na huā
kaafī hai 'farīdī' ko vo nazar jo marham-e-zaḳhm-e-hastī hai
tū ne jise apnā ġham baḳhshā phir us ko kisī kā ġham na huā
Top Urdushayar.com