dil meñ jinheñ utārte dil se vahī utar ga.e
jism ko chūmte rahe ruuh pe vaar kar ga.e
phir sar-e-shāḳh-e-ārzū khil ke mahak uThī kalī
dard kī fasl ho chukī daaġh ke din guzar ga.e
saare malāmatoñ ke tiir jin kā hadaf bane the ham
apne liye vo tiir bhī kaam duā kā kar ga.e
aaj to terī yaad bhī marham-e-dil na ho sakī
zaḳhm zarūr dab ga.e daaġh magar ubhar ga.e
dasht-e-tavahhumāt meñ apnī sadā hai aur ham
husn-e-yaqīñ ke qāfile kis se kaheñ kidhar ga.e
vaqt ke qāfile meñ jab koī na ham-safar milā
ban ke ġhubār-e-rahguzar dasht meñ ham bikhar ga.e