muft hai ḳhūn-e-jigar azmat-e-kirdār ke saath
ashk milte haiñ yahāñ dīda-e-bedār ke saath
ham ne māñgā thā sahārā to milī is kī sazā
ghaTte baḌhte rahe ham sāya-e-dīvār ke saath
aaj to hazrat-e-nāseh bhī lipaT kar mujh se
raqs karte rahe zanjīr kī jhankār ke saath
dil-e-barbād pe hai sāya-fagan yaad tirī
sāya-e-fazl-e-ḳhudā jaise gunahgār ke saath
dil meñ us shahr ke kuchh aks abhī baaqī haiñ
luT ga.e ham bhī jahāñ garmi-e-bāzār ke saath
aisī bastī se to vo dasht kahīñ behtar thā
aable mil ke jahāñ rote the har ḳhaar ke saath
ab to ik ḳhvāb sī lagtī hai haqīqat ye bhī
rabt thā ham ko kisī yār-e-tarah-dār ke saath
dil meñ mere bhī yaqīñ aur gumāñ saath rahe
jaise inkār tire lab pe hai iqrār ke saath
aise anmol na the ham ki na bikte lekin
do qadam chal na sake apne ḳharīdār ke saath
hāsil-e-fan haiñ 'farīdī' vahī ash.ār-e-ġhazal
ḳhūn-e-dil jin meñ ho rañgīnī-e-afkār ke saath