Moghisuddin Fareedi

har kaDe waqt pe aaina dikhaya hai mujhe

Moghisuddin Fareedi

Fatehpur, Uttar pradesh, India

1926
har kaḌe vaqt pe ā.īna dikhāyā hai mujhe
zindagī tū ne baḌe pyaar se bartā hai mujhe
baḌh ke chūme haiñ ġham-e-ishq ne bhī mere qadam
ġham-e-daurāñ ne bhī āñkhoñ pe biThāyā hai mujhe
rāh-e-pur-pech pe hai zulf-e-rasā kā dhokā
dasht-e-āġhosh-e-tamannā nazar aayā hai mujhe
apne ġham-ḳhvār ke ashkoñ ko takā kartā huuñ
gardish-e-vaqt ne palkoñ pe sajāyā hai mujhe
ab kisī dard kā shikva na kisī ġham kā gilā
merī hastī ne baḌī der meñ paayā hai mujhe
maiñ ġham-e-dahr kī chādar meñ chhupā baiThā thā
raat bhar aa ke tirī yaad ne DhūñDā hai mujhe
Top Urdushayar.com