andāz-e-suḳhan maslahat-āmez bahut hai
phir bhī ye adā terī dil-āvez bahut hai
āshufta-mizājī pe mirī tanz na kiije
andāz-e-jahāñ bhī to junūñ-ḳhez bahut hai
ham se vo milā hai to khule dil se milā hai
duniyā ko shikāyat hai kam-āmez bahut hai
ham us se judā ho ke bhī yuuñ jhuum rahe haiñ
jaise ki ye lamha bhī tarab-ḳhez bahut hai
ik baar bhī tharrā.ī na lau sham-e-vafā kī
sunte the zamāne kī havā tez bahut hai
tum abr-e-karam ban ke zarā aa ke to dekho
ḳhāk-e-dil-e-barbād bhī zarḳhez bahut hai
kuchh aur shikāyat to nahīñ terī nazar se
ye baat alag hai ki zarā tez bahut hai
ab dekhiye kis rañg meñ ye shaam Dhalegī
kuchh gardish-e-hālāt kī lai tez bahut hai