ḳhvāb hī ḳhvāb kab talak dekhūñ
kaash tujh ko bhī ik jhalak dekhūñ
chāndnī kā samāñ thā aur ham tum
ab sitāre palak palak dekhūñ
jaane tū kis kā ham-safar hogā
maiñ tujhe apnī jaañ talak dekhūñ
band kyuuñ zaat meñ rahūñ apnī
mauj ban jā.ūñ aur chhalak dekhūñ
sub.h meñ der hai to phir ik baar
shab ke ruḳhsār se Dhalak dekhūñ
un ke qadmoñ tale falak aur maiñ
sirf pahnā.ī-e-falak dekhūñ