maiñ ye kis ke naam likkhūñ jo alam guzar rahe haiñ
mire shahr jal rahe haiñ mire log mar rahe haiñ
koī ġhuncha ho ki gul ho koī shāḳh ho shajar ho
vo havā-e-gulistāñ hai ki sabhī bikhar rahe haiñ
kabhī rahmateñ thiiñ nāzil isī ḳhitta-e-zamīñ par
vahī ḳhitta-e-zamīñ hai ki azaab utar rahe haiñ
vahī tā.eroñ ke jhurmuT jo havā meñ jhūlte the
vo fazā ko dekhte haiñ to ab aah bhar rahe haiñ
baḌī aarzū thī ham ko na.e ḳhvāb dekhne kī
so ab apnī zindagī meñ na.e ḳhvāb bhar rahe haiñ
koī aur to nahīñ hai pas-e-ḳhanjar-āzmā.ī
hamīñ qatl ho rahe haiñ hamīñ qatl kar rahe haiñ