Obaidullah Aleem

aisi tez hawa aur aisi raat nahin dekhi

Obaidullah Aleem

Bhopal, Madhya Pradesh, India

1939-1998
aisī tez havā aur aisī raat nahīñ dekhī
lekin ham ne maulā jaisī zaat nahīñ dekhī
us kī shān-e-ajīb kā manzar dekhne vaalā hai
ik aisā ḳhurshīd ki jis ne raat nahīñ dekhī
bistar par maujūd rahe aur sair-e-haft-aflāk
aisī kisī par rahmat kī barsāt nahīñ dekhī
us kī aal vahī jo us ke naqsh-e-qadam par
sirf zaat kī ham ne āl-e-sādāt nahīñ dekhī
ek shajar hai jis kī shāḳheñ phailtī jaatī haiñ
kisī shajar meñ ham ne aisī baat nahīñ dekhī
ik dariyā-e-rahmat hai jo bahtā jaatā hai
ye shān-e-barkāt kisī ke saath nahīñ dekhī
shāhoñ kī tārīḳh bhī ham ne dekhī hai lekin
us ke dar ke gadāoñ vaalī baat nahīñ dekhī
us ke naam pe māreñ khānā ab e.azāz hamārā
aur kisī kī ye izzat auqāt nahīñ dekhī
sadiyoñ kī is dhuup chhāñv meñ koī hameñ batlā.e
puurī huī kaun sī us kī baat nahīñ dekhī
ahl-e-zamīñ ne kaun sā ham par zulm nahīñ Dhāyā
kaun sī nusrat ham ne us ke haath nahīñ dekhī
Top Urdushayar.com