kamāl-e-ādmī kī intihā hai
vo ā.inda meñ bhī sab se baḌā hai
koī raftār hogī raushnī kī
magar vo us se bhī aage gayā hai
jahāñ baiThe sadā-e-ġhaib aa.ī
ye saaya bhī usī dīvār kā hai
mujassam ho ga.e sab ḳhvāb mere
mujhe merā ḳhazāna mil gayā hai
haqīqat ek hai lazzat meñ lekin
hikāyat silsila-dar-silsila hai
yūñhī hairāñ nahīñ haiñ aañkh vaale
kahīñ ik aa.ina rakkhā huā hai
visāl-e-yār se pahle mohabbat
ḳhud apnī zaat kā ik rāstā hai
salāmat aa.ine meñ ek chehra
shikasta ho to kitnā dekhtā hai