Obaidullah Aleem

har aawaz zamistani hai har jazba zindani hai

Obaidullah Aleem

Bhopal, Madhya Pradesh, India

1939-1998
har āvāz zamistānī hai har jazba zindānī hai
kūcha-e-yār se dār-o-rasan tak ek sī hī vīrānī hai
kitne koh-e-girāñ kaaTe tab sub.h-e-tarab kī diid huī
aur ye sub.h-e-tarab bhī yaaro kahte haiñ begānī hai
jitne aag ke dariyā meñ sab paar hamīñ ko karnā haiñ
duniyā kis ke saath aa.ī hai duniyā to dīvānī hai
lamha lamha ḳhvāb dikhā.e aur sau sau ta.abīr kare
lazzat-e-kam-āzār bahut hai jis kā naam javānī hai
dil kahtā hai vo kuchh bhī ho us kī yaad jagā.e rakh
aql ye kahtī hai ki tavahhum par jiinā nādānī hai
tere pyaar se pahle kab thā dil meñ aisā soz-o-gudāz
tujh se pyaar kiyā to ham ne apnī qīmat jaanī hai
aap bhī kaise shahar meñ aa kar shā.ir kahlā.e haiñ 'alīm'
dard jahāñ kamyāb bahut hai naġhmoñ kī arzānī hai
Top Urdushayar.com