tū apnī āvāz meñ gum hai maiñ apnī āvāz meñ chup
donoñ biich khaḌī hai duniyā ā.īna-e-alfāz meñ chup
avval avval bol rahe the ḳhvāb-bharī hairānī meñ
phir ham donoñ chale ga.e pātāl se gahre raaz meñ chup
ḳhvāb-sarā-e-zāt meñ zinda ek to sūrat aisī hai
jaise koī devī baiThī ho hujra-e-rāz-o-niyāz meñ chup
ab koī chhū ke kyuuñ nahīñ aatā udhar sire kā jīvan-añg
jānte haiñ par kyā batlā.eñ lag ga.ī kyuuñ parvāz meñ chup
phir ye khel-tamāshā saarā kis ke liye aur kyuuñ sāhab
jab is ke anjām meñ chup hai jab is ke āġhāz meñ chup
nīñd-bharī āñkhoñ se chūmā diye ne sūraj ko aur phir
jaise shaam ko ab nahīñ jalnā khīñch lī is andāz meñ chup
ġhaib-samay ke gyaan meñ pāgal kitnī taan lagā.egā
jitne sur haiñ saaz se bāhar us se ziyāda saaz meñ chup