Obaidullah Aleem

mere KHuda mujhe wo tab-e-nai-nawai de

Obaidullah Aleem

Bhopal, Madhya Pradesh, India

1939-1998
mire ḳhudā mujhe vo tāb-e-nai-navā.ī de
maiñ chup rahūñ bhī to naġhma mirā sunā.ī de
gadā-e-kū-e-suḳhan aur tujh se kyā māñge
yahī ki mamlikat-e-sher kī ḳhudā.ī de
nigāh-e-dahr meñ ahl-e-kamāl ham bhī hoñ
jo likh rahe haiñ vo duniyā agar dikhā.ī de
chhalak na jā.ūñ kahīñ maiñ vajūd se apne
hunar diyā hai to phir zarf-e-kibriyā.ī de
mujhe kamāl-e-suḳhan se navāzne vaale
samā.atoñ ko bhī ab zauq-e-āshnā.ī de
numū-pazīr hai ye shola-e-navā to ise
har aane vaale zamāne kī peshvā.ī de
koī kare to kahāñ tak kare masīhā.ī
ki ek zaḳhm bhare dūsrā duhā.ī de
maiñ ek se kisī mausam meñ rah nahīñ saktā
kabhī visāl kabhī hijr se rihā.ī de
jo ek ḳhvāb kā nashsha ho kam to āñkhoñ ko
hazār ḳhvāb de aur jur.at-e-rasā.ī de
Top Urdushayar.com