hañso to rañg huuñ chehre kā rovo to chashm-e-nam meñ huuñ
tum mujh ko mahsūs karo to har mausam meñ huuñ
chāhā thā jise vo mil bhī gayā par ḳhvāb bhare haiñ āñkhoñ meñ
ai mere lahū kī lahar batā ab kaun se maiñ aalam meñ huuñ
log mohabbat karne vaale dekheñge tasvīr apnī
ek shuā-e-āvāra huuñ ā.īna-e-shabnam meñ huuñ
us lamhe to gardish-e-ḳhūñ ne merī ye mahsūs kiyā
jaise sar pe zamīñ uThā.e ik raqs-e-paiham meñ huuñ
yaar mirā zanjīreñ pahne aayā hai bāzāroñ meñ
maiñ ki tamāshā dekhne vaale logoñ ke mātam meñ huuñ
jo likkhe vo ḳhvāb mire ab āñkhoñ āñkhoñ zinda haiñ
jo ab tak nahīñ likh paayā maiñ un ḳhvāboñ ke ġham meñ huuñ