shikast-e-jāñ se sivā bhī hai kār-e-fan kyā kyā
azaab khīñch rahā hai mirā badan kyā kyā
na koī hijr kā din hai na koī vasl kī raat
magar vo shaḳhs ki hai jān-e-anjuman kyā kyā
adā huī hai ka.ī baar tark-e-ishq kī rasm
magar hai sar pe vahī qarz-e-jān-o-tan kyā kyā
nigāh-e-bulhavasāñ haa.e kyā qayāmat hai
badal rahe haiñ gul-o-lāla pairahan kyā kyā
guzar ga.e to guzarte rahe bahut ḳhurshīd
jo rañg laa.ī to laa.ī hai ik kiran kyā kyā
qarīb thā ki maiñ kār-e-junūñ se baaz aa.uuñ
khiñchī ḳhayāl meñ tasvīr-e-kohkan kyā kyā