Obaidullah Aleem

wahshaten kaisi hain KHwabon se ulajhta kya hai

Obaidullah Aleem

Bhopal, Madhya Pradesh, India

1939-1998
vahshateñ kaisī haiñ ḳhvāboñ se ulajhtā kyā hai
ek duniyā hai akelī tū hī tanhā kyā hai
daad de zarf-e-samā.at to karam hai varna
tishnagī hai mirī āvāz kī naġhma kyā hai
boltā hai koī har-ān lahū meñ mere
par dikhā.ī nahīñ detā ye tamāshā kyā hai
jis tamannā meñ guzartī hai javānī merī
maiñ ne ab tak nahīñ jaanā vo tamannā kyā hai
ye mirī ruuh kā ehsās hai āñkheñ kyā haiñ
ye mirī zaat kā ā.īna hai chehra kyā hai
kaash dekho kabhī TuuTe hue ā.īnoñ ko
dil shikasta ho to phir apnā parāyā kyā hai
zindagī kī ai kaḌī dhuup bachā le mujh ko
pīchhe pīchhe ye mire maut kā saaya kyā hai
Top Urdushayar.com