miTTī thā maiñ ḳhamīr tire naaz se uThā
phir haft-āsmāñ mirī parvāz se uThā
insān ho kisī bhī sadī kā kahīñ kā ho
ye jab uThā zamīr kī āvāz se uThā
sub.h-e-chaman meñ ek yahī āftāb thā
is aadmī kī laash ko e.azāz se uThā
sau kartaboñ se likhkhā gayā ek ek lafz
lekin ye jab uThā kisī e.ajāz se uThā
ai shahsavār-e-husn ye dil hai ye merā dil
ye terī sar-zamīñ hai qadam naaz se uThā
maiñ pūchh luuñ ki kyā hai mirā jabr o iḳhtiyār
yā-rab ye mas.ala kabhī āġhāz se uThā
vo abr shabnamī thā ki nahlā gayā vajūd
maiñ ḳhvāb dekhtā huā alfāz se uThā
shā.er kī aañkh kā vo sitāra huā 'alīm'
qāmat meñ jo qayāmatī andāz se uThā