nigār-e-sub.h kī ummīd meñ pighalte hue
charāġh ḳhud ko nahīñ dekhtā hai jalte hue
vo husn us kā bayāñ kyā kare jo dekhtā ho
har ik adā ke ka.ī qad na.e nikalte hue
vo mauj-e-mai-kada-e-rañg hai badan us kā
ki haiñ talātum-e-mai se subū uchhalte hue
to zarra zarra us aalam kā hai zuleḳhā sifat
chale jo dasht-e-balā meñ koī sambhalte hue
ye ruuh khīñchtī chalī jā rahī hai kis kī taraf
ye paañv kyuuñ nahīñ thakte hamāre chalte hue
usī ke naam kī ḳhushbū se saañs chaltī rahe
usī kā naam zabāñ par ho dam nikalte hue
ḳhayāl o ḳhvāb ke kyā kyā na silsile nikle
charāġh jalte hue āftāb Dhalte hue
añdhere haiñ yahāñ sūraj ke naam par raushan
ujāloñ se yahāñ dekhe haiñ log jalte hue
utaar in meñ koī apnī raushnī yā rab
ki log thak ga.e zulmat se ab bahalte hue
vo aa rahe haiñ zamāne ki tum bhī dekhoge
ḳhudā ke haath se insān ko badalte hue
vo sub.h hogī to fir.aun phir na guzreñge
diloñ ko rauñdte insān ko masalte hue