Obaidullah Aleem

wo KHwab KHwab faza-e-tarab nahin aai

Obaidullah Aleem

Bhopal, Madhya Pradesh, India

1939-1998
vo ḳhvāb ḳhvāb fazā-e-tarab nahīñ aa.ī
ajiib hī thī vo shab phir vo shab nahīñ aa.ī
jo jism o jaañ se chalī jism o jaañ talak pahuñchī
vo mauj-e-garmi-e-ruḳhsār-o-lab nahīñ aa.ī
to phir charāġh the ham be-charāġh rātoñ ke
palaT ke guzrī huī raat jab nahīñ aa.ī
ajab the harf kī lazzat meñ jalne vaale log
ki ḳhaak ho ga.e ḳhu-e-adab nahīñ aa.ī
jo abr ban ke barastī hai rūh-e-vīrāñ par
bahut dinoñ se vo āvāz-e-rab nahīñ aa.ī
sadā lagā.eñ aur apnā mazāq uḌvā.eñ
ye ahl-e-dard pe uftād kab nahīñ aa.ī
kiyā hai apne hī qadmoñ ne pā.emāl bahut
ye ham meñ kaj-kalhī be-sabab nahīñ aa.ī
Top Urdushayar.com