Obaidullah Aleem

wahshat usi se phir bhi wahi yar dekhna

Obaidullah Aleem

Bhopal, Madhya Pradesh, India

1939-1998
vahshat usī se phir bhī vahī yaar dekhnā
pāgal ko jaise chāñd kā dīdār dekhnā
is hijratī ko kaam huā hai ki raat din
bas vo charāġh aur vo dīvār dekhnā
paañv meñ ghūmtī hai zamīñ āsmāñ talak
is tifl-e-shīr-ḳhvār kī raftār dekhnā
yā-rab koī sitāra-e-ummīd phir tulū
kyā ho ga.e zamīn ke āsār dekhnā
lagtā hai jaise koī valī hai zuhūr meñ
ab shaam ko kahīñ koī mai-ḳhvār dekhnā
is vahshatī kā haal ajab hai ki us taraf
jaanā bhī aur jānib-e-pindār dekhnā
dekhā thā ḳhvāb shā.er-e-momin ne is liye
ta.abīr meñ milā hameñ talvār dekhnā
jo dil ko hai ḳhabar kahīñ miltī nahīñ ḳhabar
har sub.h ik azaab hai aḳhbār dekhnā
maiñ ne sunā hai qurb-e-qayāmat kā hai nishāñ
be-qāmatī pe jubba-o-dastār dekhnā
sadiyāñ guzar rahī haiñ magar raushnī vahī
ye sar hai yā charāġh sar-e-dār dekhnā
is qāfile ne dekh liyā karbalā kā din
ab rah gayā hai shaam kā bāzār dekhnā
do chaar ke sivā yahāñ likhtā ġhazal hai kaun
ye kaun haiñ ye kis ke taraf-dār dekhnā
Top Urdushayar.com