Obaidullah Aleem

kuchh ishq tha kuchh majburi thi so maine jiwan war diya

Obaidullah Aleem

Bhopal, Madhya Pradesh, India

1939-1998
kuchh ishq thā kuchh majbūrī thī so maiñ ne jīvan vaar diyā
maiñ kaisā zinda aadmī thā ik shaḳhs ne mujh ko maar diyā
ik sabz shāḳh gulāb kī thā ik duniyā apne ḳhvāb kī thā
vo ek bahār jo aa.ī nahīñ us ke liye sab kuchh haar diyā
ye sajā-sajāyā ghar sāthī mirī zaat nahīñ mirā haal nahīñ
ai kaash kabhī tum jaan sako jo is sukh ne āzār diyā
maiñ khulī huī ik sachchā.ī mujhe jānñe vaale jānte haiñ
maiñ ne kin logoñ se nafrat kī aur kin logoñ ko pyaar diyā
vo ishq bahut mushkil thā magar āsān na thā yuuñ jiinā bhī
us ishq ne zinda rahne kā mujhe zarf diyā pindār diyā
maiñ rotā huuñ aur āsmān se taare TūTte dekhtā huuñ
un logoñ par jin logoñ ne mire logoñ ko āzār diyā
mire bachchoñ ko allāh rakhe in taaza havā ke jhoñkoñ ne
maiñ ḳhushk peḌ ḳhizāñ kā thā mujhe kaisā barg-o-bār diyā
Top Urdushayar.com