ye aur baat ki is ahd kī nazar meñ huuñ
abhī maiñ kyā ki abhī manzil-e-safar meñ huuñ
abhī nazar nahīñ aisī ki duur tak dekhūñ
abhī ḳhabar nahīñ mujh ko ki kis asar meñ huuñ
pighal rahe haiñ jahāñ log sho.ala-e-jāñ se
sharīk maiñ bhī isī mahfil-e-hunar meñ huuñ
jo chāhe sajda guzāre jo chāhe Thukrā de
paḌā huā maiñ zamāne kī rahguzar meñ huuñ
jo saaya ho to Darūñ aur dhuup ho to jalūñ
ki ek naḳhl-e-numū ḳhāk-e-nauha-gar meñ huuñ
kiran kiran kabhī ḳhurshīd ban ke niklūñgā
abhī charāġh kī sūrat meñ apne ghar meñ huuñ
bichhaḌ ga.ī hai vo ḳhushbū ujaḌ gayā hai vo rañg
bas ab to ḳhvāb sā kuchh apnī chashm-e-tar meñ huuñ