Obaidullah Aleem

hijr karte ya koi wasl guzara karte

Obaidullah Aleem

Bhopal, Madhya Pradesh, India

1939-1998
hijr karte yā koī vasl guzārā karte
ham bahar-hāl basar ḳhvāb tumhārā karte
ek aisī bhī ghaḌī ishq meñ aa.ī thī ki ham
ḳhaak ko haath lagāte to sitārā karte
ab to mil jaao hameñ tum ki tumhārī ḳhātir
itnī duur aa ga.e duniyā se kinārā karte
mehv-e-ārā.ish-e-ruḳh hai vo qayāmat sar-e-bām
aañkh agar ā.īna hotī to nazārā karte
ek chehre meñ to mumkin nahīñ itne chehre
kis se karte jo koī ishq dobārā karte
jab hai ye ḳhāna-e-dil aap kī ḳhalvat ke liye
phir koī aa.e yahāñ kaise gavārā karte
kaun rakhtā hai añdhere meñ diyā aañkh meñ ḳhvāb
terī jānib hī tire log ishārā karte
zarf-e-ā.īna kahāñ aur tirā husn kahāñ
ham tire chehre se ā.īna sañvārā karte
Top Urdushayar.com