ab tū ho kisī rañg meñ zāhir to mujhe kyā
Thahre tire ghar koī musāfir to mujhe kyā
vīrāna-e-jāñ kī jo fazā thī so rahegī
chahke kisī gulshan meñ vo taa.ir to mujhe kyā
vo sham.a mire ghar meñ to be-nūr hī Thahrī
bāzār meñ vo jins ho nādir to mujhe kyā
vo rañg-fishāñ aañkh vo tasvīr-numā haath
dikhlā.eñ na.e roz manāzir to mujhe kyā
maiñ ne use chāhā thā to chāhā na gayā maiñ
chāhe mujhe ab vo mirī ḳhātir to mujhe kyā
duniyā ne to jaanā ki numū us meñ hai merī
ab ho vo mirī zaat kā munkir to mujhe kyā
ik ḳhvāb thā aur bujh gayā āñkhoñ hī meñ apnī
ab koī pukāre mire shā.ir to mujhe kyā