Obaidullah Aleem

humne khulne na diya be-sar-o-samani ko

Obaidullah Aleem

Bhopal, Madhya Pradesh, India

1939-1998
ham ne khulne na diyā be-sar-o-sāmānī ko
kahāñ le jaa.eñ magar shahr kī vīrānī ko
sirf guftār se zaḳhmoñ kā rafū chāhte haiñ
ye siyāsat hai to phir kyā kahīñ nādānī ko
koī taqsīm na.ī kar ke chalā jaatā hai
jo bhī aatā hai mire ghar kī nigahbānī ko
ab kahāñ jā.ūñ ki ghar meñ bhī huuñ dushman apnā
aur bāhar mirā dushman hai nigahbānī ko
be-hisī vo hai ki kartā nahīñ insāñ mahsūs
apnī hī ruuh meñ aa.ī huī tuġhyānī ko
aaj bhī us ko farāz aaj bhī aalī hai vahī
vahī sajda jo kare vaqt kī sultānī ko
aaj yūsuf pe agar vaqt ye laa.e ho to kyā
kal tumhīñ taḳht bhī doge isī zindānī ko
sub.h khalne kī ho yā shaam bikhar jaane kī
ham ne ḳhushbū hī kiyā apnī pareshānī ko
vo bhī har-ān nayā merī mohabbat bhī na.ī
jalva-e-husn kashish hai mirī hairānī ko
kūza-e-harf meñ laayā huuñ tumhārī ḳhātir
ruuh par utre hue ek ajab paanī ko
Top Urdushayar.com