Obaidullah Aleem

bahar ka dhan aata jata asal KHazana ghar mein hai

Obaidullah Aleem

Bhopal, Madhya Pradesh, India

1939-1998
bāhar kā dhan aatā jaatā asal ḳhazāna ghar meñ hai
har dhuup meñ jo mujhe saayā de vo sachchā saayā ghar meñ hai
pātāl ke dukh vo kyā jāneñ jo sat.h pe haiñ milne vaale
haiñ ek havāla dost mire aur ek havāla ghar meñ hai
mirī umr ke ik ik lamhe ko maiñ ne qaid kiyā hai lafzoñ meñ
jo haarā huuñ yā jiitā huuñ vo sab sarmāya ghar meñ hai
tū nanhā-munnā ek diyā maiñ ek samundar añdhiyārā
tū jalte jalte bujhne lagā aur phir bhī añdherā ghar meñ hai
kyā svāñg bhare roTī ke liye izzat ke liye shohrat ke liye
suno shaam huī ab ghar ko chalo koī shaḳhs akelā ghar meñ hai
ik hijr-zada bābul piyārī tire jāgte bachchoñ se haarī
ai shā.er kis duniyā meñ hai tū tirī tanhā duniyā ghar meñ hai
duniyā meñ khapā.e saal ka.ī āḳhir meñ khulā ahvāl yahī
vo ghar kā ho yā bāhar kā har dukh kā mudāvā ghar meñ hai
Top Urdushayar.com