Obaidullah Aleem

koi dhun ho main tere git hi gae jaun

Obaidullah Aleem

Bhopal, Madhya Pradesh, India

1939-1998
koī dhun ho maiñ tire giit hī gaa.e jā.ūñ
dard siine meñ uThe shor machā.e jā.ūñ
ḳhvāb ban kar tū barastā rahe shabnam shabnam
aur bas maiñ isī mausam meñ nahā.e jā.ūñ
tere hī rañg utarte chale jaa.eñ mujh meñ
ḳhud ko likkhūñ tirī tasvīr banā.e jā.ūñ
jis ko milnā nahīñ phir us se mohabbat kaisī
sochtā jā.ūñ magar dil meñ basā.e jā.ūñ
ab tū us kī huī jis pe mujhe pyaar aatā hai
zindagī aa tujhe siine se lagā.e jā.ūñ
yahī chehre mire hone kī gavāhī deñge
har na.e harf meñ jaañ apnī samā.e jā.ūñ
jaan to chiiz hai kyā rishta-e-jāñ se aage
koī āvāz diye jaa.e maiñ aa.e jā.ūñ
shāyad is raah pe kuchh aur bhī raahī aa.eñ
dhuup meñ chaltā rahūñ saa.e bichhā.e jā.ūñ
ahl-e-dil hoñge to samjheñge suḳhan ko mere
bazm meñ aa hī gayā huuñ to sunā.e jā.ūñ
Top Urdushayar.com