Obaidullah Aleem

jo usne kiya use sila de

Obaidullah Aleem

Bhopal, Madhya Pradesh, India

1939-1998
jo us ne kiyā use sila de
maulā mujhe sabr kī jazā de
yā mere diye kī lau baḌhā de
yā raat ko sub.h se milā de
sach huuñ to mujhe amar banā de
jhūTā huuñ to naqsh sab miTā de
ye qaum ajiib ho ga.ī hai
is qaum ko ḳhū-e-ambiyā de
utregā na koī āsmāñ se
ik aas meñ dil magar sadā de
bachchoñ kī tarah ye lafz mere
ma.abūd inheñ bolnā sikhā de
dukh dahr ke apne naam likkhūñ
har dukh mujhe zaat kā mazā de
ik merā vajūd sun rahā hai
ilhām jo raat kī havā de
mujh se mirā koī milne vaalā
bichhḌā to nahīñ magar milā de
chehra mujhe apnā dekhne ko
ab dast-e-havas meñ ā.īna de
jis shaḳhs ne umar-e-hijr kaaTī
us shaḳhs ko ek raat kyā de
dukhtā hai badan ki phir mile vo
mil jaa.e to ruuh ko dikhā de
kyā chiiz hai ḳhvāhish-e-badan bhī
har baar nayā hī zā.iqa de
chhūne meñ ye Dar ki mar na jā.ūñ
chhū luuñ to vo zindagī sivā de
Top Urdushayar.com