Obaidullah Aleem

nind aankhon se uDi phul se KHushbu ki tarah

Obaidullah Aleem

Bhopal, Madhya Pradesh, India

1939-1998
niiñd āñkhoñ se uḌī phuul se ḳhushbū kī tarah
jī bahal jā.egā shab se tire gesū kī tarah
dosto jashn manāo ki bahār aa.ī hai
phuul girte haiñ har ik shāḳh se aañsū kī tarah
merī āshuftagī-e-shauq meñ ik husn bhī hai
tere aariz pe machalte hue gesū kī tarah
ab tire hijr meñ lazzat na tire vasl meñ lutf
in dinoñ ziist hai Thahre hue aañsū kī tarah
zindagī kī yahī qīmat hai ki arzāñ ho jaao
naġhma-e-dard liye mauja-e-ḳhushbū kī tarah
kis ko ma.alūm nahīñ kaun thā vo shaḳhs 'alīm'
jis kī ḳhātir rahe āvāra ham aahū kī tarah
Top Urdushayar.com