Obaidullah Aleem

suKHan mein sahl nahin jaan nikal kar rakhna

Obaidullah Aleem

Bhopal, Madhya Pradesh, India

1939-1998
suḳhan meñ sahl nahīñ jaañ nikāl kar rakhnā
ye zindagī hai hamārī sambhāl kar rakhnā
khulā ki ishq nahīñ hai kuchh aur is ke sivā
razā-e-yār jo ho apnā haal kar rakhnā
usī kā kaam hai farsh-e-zamīñ bichhā denā
usī kā kaam sitāre uchhāl kar rakhnā
usī kā kaam hai is dukh-bhare zamāne meñ
mohabbatoñ se mujhe mālā-māl kar rakhnā
bas ek kaifiyat-e-dil meñ bolte rahnā
bas ek nashshe meñ ḳhud ko nihāl kar rakhnā
bas ek qāmat-e-zebā ke ḳhvāb meñ rahnā
basā ek shaḳhs ko hadd-e-misāl kar rakhnā
guzarnā husn kī nazzārgī se pal-bhar ko
phir us ko zā.iqa-e-lā-zavāl kar rakhnā
kisī ke bas meñ nahīñ thā kisī ke bas meñ nahīñ
bulandiyoñ ko sadā pā.emāl kar rakhnā
Top Urdushayar.com