kuchh din to baso mirī āñkhoñ meñ
phir ḳhvāb agar ho jaao to kyā
koī rañg to do mire chehre ko
phir zaḳhm agar mahkāo to kyā
jab ham hī na mahke phir sāhab
tum bād-e-sabā kahlāo to kyā
ik aa.ina thā so TuuT gayā
ab ḳhud se agar sharmāo to kyā
tum aas bañdhāne vaale the
ab tum bhī hameñ Thukrāo to kyā
duniyā bhī vahī aur tum bhī vahī
phir tum se aas lagāo to kyā
maiñ tanhā thā maiñ tanhā huuñ
tum aao to kyā na aao to kyā
jab dekhne vaalā koī nahīñ
bujh jaao to kyā gahnāo to kyā
ab vahm hai ye duniyā is meñ
kuchh kho.o to kyā aur paao to kyā
hai yuuñ bhī ziyāñ aur yuuñ bhī ziyāñ
jī jaao to kyā mar jaao to kyā