ab to firāq-e-sub.h meñ bujhne lagī hayāt
bār-e-ilāh kitne pahar rah ga.ī hai raat
har tīrgī meñ tū ne utārī hai raushnī
ab ḳhud utar ke aa ki siyah-tar hai kā.enāt
kuchh ā.īne se rakkhe hue haiñ sar-e-vajūd
aur in meñ apnā jashn manātī hai merī zaat
bole nahīñ vo harf jo īmān meñ na the
likkhī nahīñ vo baat jo apnī nahīñ thī baat