tere pyaar meñ rusvā ho kar jaa.eñ kahāñ dīvāne log
jaane kyā kyā pūchh rahe haiñ ye jāne-pahchāne log
har lamha ehsās kī sahbā ruuh meñ Dhaltī jaatī hai
ziist kā nashsha kuchh kam ho to ho aa.eñ mai-ḳhāne log
jaise tumheñ ham ne chāhā hai kaun bhalā yuuñ chāhegā
maanā aur bahut ā.eñge tum se pyaar jatāne log
yuuñ galiyoñ bāzāroñ meñ āvāra phirte rahte haiñ
jaise is duniyā meñ sabhī aa.e hoñ umar gañvāne log
aage pīchhe daa.eñ baa.eñ saa.e se lahrāte haiñ
duniyā bhī to dasht-e-balā hai ham hī nahīñ dīvāne log
kaise dukhoñ ke mausam aa.e kaisī aag lagī yaaro
ab sahrāoñ se laate haiñ phūloñ ke nazrāne log
kal mātam be-qīmat hogā aaj un kī tauqīr karo
dekho ḳhūn-e-jigar se kyā kyā likhte haiñ afsāne log