Obaidullah Aleem

ek main bhi hun kulah-daron ke bich

Obaidullah Aleem

Bhopal, Madhya Pradesh, India

1939-1998
ek maiñ bhī huuñ kulah-dāroñ ke biich
'mīr' sāhab ke parastāroñ ke biich
raushnī aadhī idhar aadhī udhar
ik diyā rakkhā hai dīvāroñ ke biich
maiñ akelī aañkh thā kyā dekhtā
ā.īna-ḳhāne the nazzāroñ ke biich
hai yaqīñ mujh ko ki sayyāre pe huuñ
aadmī rahte haiñ sayyāroñ ke biich
khā gayā insāñ ko āshob-e-ma.āsh
aa ga.e haiñ shahr bāzāroñ ke biich
maiñ faqīr ibn-e-faqīr ibn-e-faqīr
aur askandar huuñ sardāroñ ke biich
apnī vīrānī ke gauhar roltā
raqs meñ huuñ aur bāzāroñ ke biich
koī us kāfir ko us lamhe sune
guftugū kartā hai jab yāroñ ke biich
ahl-e-dil ke darmiyāñ the 'mīr' tum
ab suḳhan hai sho.abada-kāroñ ke biich
aañkh vaale ko nazar aa.e 'alīm'
ik mohammad-mustafā sāroñ ke biich
Top Urdushayar.com