Obaidullah Aleem

azab aae the aise ki phir na ghar se gae

Obaidullah Aleem

Bhopal, Madhya Pradesh, India

1939-1998
azaab aa.e the aise ki phir na ghar se ga.e
vo zinda log mire ghar ke jaise mar se ga.e
hazār tarah ke sadme uThāne vaale log
na jaane kyā huā ik aan meñ bikhar se ga.e
bichhaḌne vāloñ kā dukh ho to soch lenā yahī
ki ik navā-e-pareshāñ the rahguzar se ga.e
hazār raah chale phir vo rahguzar aa.ī
ki ik safar meñ rahe aur har safar se ga.e
kabhī vo jism huā aur kabhī vo ruuh tamām
usī ke ḳhvāb the āñkhoñ meñ ham jidhar se ga.e
ye haal ho gayā āḳhir tirī mohabbat meñ
ki chāhte haiñ tujhe aur tirī ḳhabar se ga.e
mirā hī rañg the to kyuuñ na bas rahe mujh meñ
mirā hī ḳhvāb the to kyuuñ mirī nazar se ga.e
jo zaḳhm zaḳhm-e-zabāñ bhī hai aur numū bhī hai
to phir ye vahm hai kaisā ki ham hunar se ga.e
Top Urdushayar.com